Picture


1)  Allah Kareem ka Naiki k kamon main aik dosray ki madad karnay k hukum dayna


AUR NAIKI AUR PARHAIZGARI PAR AIK DOSRAY KI MADAD KARO AUR GUNAH AUR ZIADTI PAR BAHAM

MADAD NA DO.

Sura e Maida-2, Para 2, Kanzul Imaan


2) Ghair Allah say madad mangnay ka hukum


AUR SABAR AUR NAMAZ SAY MADAD CHAHO.

Sura e Baqarah-45, Para 1, Kanzul Imaan



3) Nabi ka Ghair Allah ki madad k husool k liye Allah ki bargah main arz karna.


AUR MERAY LIYE MERAY GHAR WALON MAIN SAY AIK WAZEER KARDAY, WOH KAUN MERA BHAI,

HAROON, IS SAY MERI KAMAR MAZBOOT KAR.

Sura e Ta Ha-29,30,31, Kanzul Imaan


4) Allah Taala ka khud Anbia e Kiram ko madad karnay ka hukum


TO TUM ZAROOR USPAR IMAAN LANA AUR ZAROOR USKI MADAD KARNA

Sura e Aal e Imran-81, Kanzul Imaan


5) Allah Taala ka Ghair Allah ko madadgaar farmana


TO BESHAK ALLAH UNKA MADADGAAR HAY AUR JIBRAEL AUR NAIK IMAAN WALAY AUR USKAY BAAD

FARISHTAY MADAD PAR HAIN


6) Nabi ka shifa ata farmana aur murdon ko zindah kardayna


MAIN TUMHARAY LIYE MATTI SAY PARIND KI SI MOORAT BANATA HOON PHIR USMAIN PHOONK MARTA

HOON TO WOH FORAN PARIND HOJATI HAY ALLAH K HUKUM SAY, AUR MAIN SHIFA DAYTA HOON

MADARZAAD ANDHAY AUR SUFAID DAAGH WALAY KO, AUR MAIN MURDAYJILATA HOON ALLAH K HUKUM

SAY

Sura e Aal e Imran-49, Kanzul Imaan


Reference : faizanehuzoortajusshariah